answersofbooks.blogspot.comMohabbatKya aap ko lagta he ke aaj ke is bhagdod bhare zamane me mohabbat zinda he...? 
Kya kisi ladki ko koi such me tahe dil se chahata honga.......? 
Jo insaan aaj ke dour me apne Rab ko aur khud apne aap ko bhula baitha he kya wo sach me kisi se mahobbat karsakta he...? 
Aaj jis dour me ham rahete he waha par jhoot ke ilawa kuch nhi bacha.
Pahele ka dour or tha ab wo mahobbat is duniya se udchuki he
Yaha hardin mahobbat badalte raheti he mardo ki nazar kharab hochuki he pahele ek musalman mard nazre nichi rakhkar chalta tha. 
Aaj ka mard chahe ghar me ho ya bahar uski nazre sirf or sirf parai aurton par hoti he ...... 
Aur aesa nhi k saara kusoor mardon ka he balki aaj kal ki aurten bhi sachi mahobbat ke qabil nhi he.... 
Kyu ki pahele jo aurteen thi wo bahar jate waqt parda karti thi or apne shohar ke saamne saj savar kar raheti thi..... Ab zamana ulta ho chuka he aurteen bahar jate waqt sajti he or ghar me kharab halat me muh banaen baithi hoti he . 
Mardon ki nazar apni aurton ke ilawa saari aurton par hoti he... 
Wese kya ye sab jo me kahe rahi hoon kya is baat ka koi matlab he... ? 
Ha to suno jab koi mard apni biwi ke saamne kisi aur aurat ko dekhta he to uski biwi ke dil pe bahot chot pahochti he or jab b koi aurat uske mard ke saamne aati he to wo gussa hoti he apne shohar se kaheti he par uska shohar use bahela fusla ke fir dusri aurton pe nazar rakhta he... Ye silsila aese he chalta raheta he aur isse hi hamari zindagi or aakhirat kharab hoti ja rahi he... 
Kyu ki wo aurat ki soch bas itni hojati he ke me khubsurat lagu ke mera shohar sirf mujhe dekhe or wo sajti he par afsos uska shohar fir b bahar ki aurton ko dekhne se baaz nhi aata aur wo aurat jo apne mard ke liye sajti he use koi dusra hi dekhne lagta he or ye silsila aese hi chalta raheta he.... 
Or pahele jo aurten apne shoharon se khush raheti thi har waqt unka saath deti thi un jodiyo me Allah ki Rahemate barasti thi unke ghar Iman ki dolat se Malamaal rahete the ek ek musalman bachha apne dil me jazbae iman rakhta tha Islam ke liye apni jane Qurbaan karkete the ese Qaum ke log the hamare... 
Lekin aaj is jahil daur me zarasi taklif par ghabrabat hoti he kyu ki aurto ka iman kam hochuka unka dhyan sirf apne mardon par hota he k wo kise dekhraha honga.... 
Iske ilawa wo apne faraez bhula baithi he
Or mard aurton pe nazre bichhae hue he unhe aesa lagta he ke issi duniya me unhe rahena he par hargiz hargiz ye mat bhulna k ye duniya fani he ek din hame apna chahera us Rab ko dikhana he... 
Fir tb hamare paas koi jawab na honga..... 
Abhi waqt he samhal jaao musalmano.... 
Aur aurton tum bi apna dhyan Allah ki taraf zyada Or apne shohar par kam rakho 
Par kam dhayan rakhne se mera matlab hargiz ye nhi he ke tum apne shohar ka khayal na karo balki tumhe apne Rab ko Razi karne k liye apne shohar ko khush rakhna bahot zaruri he tum unki khidmat karo unke liye saj savar kar raho par apni Ibadaton par or apne bacho ki achhi se achhi tarbiyat par bi dhayan do..... 
Allah hamsab ko raherast par rakhe or ham sab se hamesha khush rahe...........  Ameen
 
Comments
Post a Comment