Eid - Miladun Nabi(s.a.w) :-
    Hazrat Muhammed (s. a. w)  ki paidaish ke din ko Eid-Miladun - Nabi manaya jata hai. 
Ye din Islami calendar ke tisre mahine 12 Rabi-ul-awal ko manaya jata hai. 
ALLAH FARMATA HAI
Para 11 - sure -yunus -aayat - no. 58
Tarjuma by Aala Hazrat
    Tum farmao "Allah " hi ke fazal Or uski Rahmat Or usi par chahiye ki khusi kare wo un ke sab dhan doulat se afzal hai. 
Allah kisi koi bhi Rahmat ho to khushi karne ka hukum he to jo sab se badi Rahemat he niyamat he uspar khushi kyu na manae
Ab koi kahega ke (Nabi s. a. w) Allah ki Rahmat he ye kaha se sabit he wo bhi aap Quraan shareef ke hawale se jaaniye 
Allah Quraan me farmata hai

     Mere (Aaqa s. a. w) to saare jahan ke liye Rahemat hai hadise Qudsi he Ae Maheboob tujhe na banata to ye Qaenaat hi na banata Tu wajah takhlique qaenaat hai jis ke sabab ye duniya bani hai unki Aamad ki khushi kyu na manayen 
Sab se badha sawal sunniyo se ye kiya jata he Sahaba ne manaya tha......? 
Auliya ne manaaya tha.....? 
Kahete he 
Ye to abke zamane me manaya jarahahe 
To suno
Juloos jo he is ki tareekh "Aala Hazrat Fazile barelvi "ne farmaya 8-vi sun hijri me kuch Aashique Rasool ne juloos nikal kar apne "Aaqa s. a. w" ki  bargah me khiraje aqidat(nazrana)pesh kiya 
Lekin us waqt mojood ulmah ne use galat nhi samjha us ko kharab nhi samjha
Sahaba ne manaya tha ye sawal bar bar krte hoo wo to ha roz mere Aaqa(s.a.w) ka milad manate tum to saal me ek baar milaad manate hoon. 
Puchho hassan bin Sadiq se wo mere pyare Aaqa se kahete the ae maheboob Aap se zyada haseen mene koi dekha hi nhi aap se zyada khoobsurat kisi maa ne janaa nhi..... 
Saahaba ikraam huzoor (s. a. w ) ke qaside padhte the to kya sahabi milaad nhi manarahe he sahaba ikraam har roz milad manate the or manate hai. 
'Hijrat ka waqia'- "Allah" Ke Nabi(s.a.w) jab tashreef larahe the maqqa se madina tayyaba 14 din tk madine wale Allah ke Nabi (s. a. w) ka intezaar karrahe the jese hi Huzur s.a.w makka se nikle khabar suni madine ke log tili pe jakar khade hote or intezar karte madine wale kab tashreef larahe he Huzur(s.a.w) kab tashreef laenge madine walo me se bahot Sare logo ne mere Nabi (s.a.w) ko dekha nhi tha dekhne ki tadap thi mujhe batao ke aaj aap Eid- Milad ka intezar karte ho ye intezaar Madine walo ki sunnat hi to he
(Muslim shareef) 
Or jis waqt mere Aaqa (s.a.w) quba ki chotiyo se nazar aane lage jitne madine me habshi the wo apne neze nikale, dhal nikale Or apna makhsoos jo unka raks hota tha usse wo raks karne lage dhalo par apne neze nikale dhal nikale Or apna makhsois jo unka Raks hota tha usse wo raks karne lage dhalo par apne nexe mar mar kar kahete the "Muhammadun Abddun Sawalahe" ye alfaz the habshiyo ke or uske baad bano najjar ek khandan tha us khandan ki saari bachchiya apne hatho me daf liye aai or ye kaheti thi 
Means wo kaheti thi ham par 14-vi ka chand utar aaya hai unke aane par ham par shukar wajeeb ho gaya hai ye milad nhi to or kya he
Jab bi Mustafa(s.a.w) ka zikr ho chahe saal bhar me aap kabhi bhi me Nabi s. a. w ki baate karo Un ki tareef karo wo milade Mustafa hi kahelati hai jab mere pyare aaqa madine me aagae to uswaqt ka ahteram karna Siddique Akbar ne hame dikhaya
 Jis suhani ghadi chamka taiba ka chaand 
Us dil afroz saaat pe lakho salaam
Siddike Akbar ne kya kiya tha jante he aap
Madine wale jab dekhrahe the uchhal uchhal kr door se Wo nazar aarahe the Huzoor-e-paak s.a.w or Abubakr Siddique r. a dono aarahe the
Sayyadna Abubakar Siddique r. a ka adab dekhiye jab Madine wale dekhne lage to Abubakar Siddique r. a ne apna Jubba utarkar ek jhande ki tarha HUZOOR s. a. w ke upar laherane lage
🤔Kyu kiya unhone aesa 
Ye batana tha ke unki Aamad koi aam ghadi nhi he 
Dekhiye Sayyadna Abubakar Siddique r. a ka ishque unhi ne mere pyare Aaqa(s.a.w) ke puchne par kaha Aaqa (s.a.w) madine walo me se kuch logo ne aap ko dekha nhi he kahi wo mujhe galti se aap na samajh le isliye mene apna jhubha nikal kar Aap par Jhanda laheraya take pata chale Aaqa or he or gulam or 
Jab Aaqa tashareef late he to jhande laherate he
Ye Siddique Akbar ne hame karke dikhaya he
To isliye sunniyo
"Jhande lagao ghar ko sajao kar ke chiragah khushiya mano jhumo"
Ab meye kaheti hoon jise mere Aaqa ki aamad ka milad manana he wo manaega Or madine walo me uska hashar bhi honga kyu ki Mere (Aaqa s a. w) ne farmaya he 
Jo jis quam ki aadat ko apnaenga duniya me qayamat ke din wo usi qaum ke sath uthaya jaenga. 
Or jis ki aamad ki khushi khud Allah Subhan wa taala manata he to tum tum kon hote he is par sawal uthane wale..... 😊
 
Comments
Post a Comment